tere maiKHane mein aise bahut mai-KHwar baiThe hain
tere maiKHane mein aise bahut mai-KHwar baiThe hain
Jagdish Sahay Saxena
MORE BYJagdish Sahay Saxena
tire maiḳhāne meñ aise bahut mai-ḳhvār baiThe haiñ
mai-e-hastī jo pī kar sāqiyā bezār baiThe haiñ
taḌaptā huuñ to mujh ko zindagī kā lutf aatā hai
na jaane sar jhukā.e kyoñ mire ġham-ḳhvār baiThe haiñ
nazar aatī hai barq-e-tūr maiḳhāne meñ ai zāhid
magar dair-o-haram meñ tālib-e-dīdār baiThe haiñ
dil-e-pur-dāġh ko dekho na tum chashm-e-hiqārat se
liye pahlū meñ ham ik gulshan-e-be-ḳhār baiThe haiñ
hukūmat kī ye ḳhūbī hai ki apnī ḳhūbī-e-qismat
hamāre mulk meñ ahl-e-hunar be-kār baiThe haiñ
haram hai raah jannat kī mirī jannat hai mai-ḳhāna
vahāñ dīñ-dār baiThe haiñ yahāñ mai-ḳhvār baiThe haiñ
tere maiKHane mein aise bahut mai-KHwar baiThe hain
mai-e-hasti jo pi kar saqiya bezar baiThe hain
taDapta hun to mujh ko zindagi ka lutf aata hai
na jaane sar jhukae kyon mere gham-KHwar baiThe hain
nazar aati hai barq-e-tur maiKHane mein ai zahid
magar dair-o-haram mein talib-e-didar baiThe hain
dil-e-pur-dagh ko dekho na tum chashm-e-hiqarat se
liye pahlu mein hum ek gulshan-e-be-KHar baiThe hain
hukumat ki ye KHubi hai ki apni KHubi-e-qismat
hamare mulk mein ahl-e-hunar be-kar baiThe hain
haram hai rah jannat ki meri jannat hai mai-KHana
wahan din-dar baiThe hain yahan mai-KHwar baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.