tere milne se hi ThanDa dil-e-atish-fashan hoga
tire milne se hī ThanDā dil-e-ātish-fashāñ hogā
zarā sī aañch hogī kam jo siine meñ dhuāñ hogā
chahakte haiñ ḳhayāloñ ke mire bulbul asīrī meñ
ki terī yaad ke piñjre meñ un kā gulsitāñ hogā
agar shauq-e-bulandī hai to paidā kar zamīñ apnī
vagarna tū kahāñ hogā tirā kyā āsmāñ hogā
yahī to zindagānī hai ye is dil meñ na jā.egī
ki jis dil meñ sukūñ āsūdgī amn-o-amāñ hogā
ġhulām us kī laToñ kā hai nahīñ goroñ kā ye 'aḳhtar'
kabhī āzād kyā dil kā mire hindostāñ hogā
tere milne se hi ThanDa dil-e-atish-fashan hoga
zara si aanch hogi kam jo sine mein dhuan hoga
chahakte hain KHayalon ke mere bulbul asiri mein
ki teri yaad ke pinjre mein un ka gulsitan hoga
agar shauq-e-bulandi hai to paida kar zamin apni
wagarna tu kahan hoga tera kya aasman hoga
yahi to zindagani hai ye is dil mein na jaegi
ki jis dil mein sukun aasudgi amn-o-aman hoga
ghulam us ki laTon ka hai nahin goron ka ye 'aKHtar'
kabhi aazad kya dil ka mere hindostan hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.