tere nam se mujhe ishq hai tera kya nishan hai KHabar nahin
tere nam se mujhe ishq hai tera kya nishan hai KHabar nahin
Arman Rampuri
MORE BYArman Rampuri
tire naam se mujhe ishq hai tirā kyā nishāñ hai ḳhabar nahīñ
hai ḳhabar bhī gar to isī qadar tū kahāñ nahīñ tū kidhar nahīñ
kabhī jā ke koh meñ ghir gayā kabhī jā ke dasht basā liyā
jise lā-makāñ kī ho justujū kahīñ us kā ghar nahīñ dar nahīñ
ġham-e-zindagī bhī luTā diyā zahe jis ne rāh-e-firāq meñ
jise apne tan kā na hosh ho vo hai aur koī bashar nahīñ
mujhe mast-e-jām-e-sharāb kar na tū ruḳh ko zer-e-naqāb kar
kise be-ḳhudī meñ ye hosh ho tirā jalva shām-o-sahar nahīñ
koī dekhe 'armāñ' kī bebasī hai ajiib hālat-e-be-kasī
nahīñ zabt se koī fā.eda kare aah to bhī asar nahīñ
tere nam se mujhe ishq hai tera kya nishan hai KHabar nahin
hai KHabar bhi gar to isi qadar tu kahan nahin tu kidhar nahin
kabhi ja ke koh mein ghir gaya kabhi ja ke dasht basa liya
jise la-makan ki ho justuju kahin us ka ghar nahin dar nahin
gham-e-zindagi bhi luTa diya zahe jis ne rah-e-firaq mein
jise apne tan ka na hosh ho wo hai aur koi bashar nahin
mujhe mast-e-jam-e-sharab kar na tu ruKH ko zer-e-naqab kar
kise be-KHudi mein ye hosh ho tera jalwa sham-o-sahar nahin
koi dekhe 'arman' ki bebasi hai ajib haalat-e-be-kasi
nahin zabt se koi faeda kare aah to bhi asar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.