tere naqsh dil se miTane chala hun
tire naqsh dil se miTāne chalā huuñ
maiñ taqdīr phir āzmāne chalā huuñ
jo tum ne likhe the mohabbat bhare ḳhat
vo gangā meñ saare bahāne chalā huuñ
maiñ ġhamgīn rah ke jalūñ aur kitnā
maiñ ḳhush rah ke us ko jalāne chalā huuñ
nahīñ khel bigḌegā ab koī merā
maiñ ab saare hāsid bhagāne chalā huuñ
nayā ḳhol chehre par apne chaḌhā ke
maiñ lailā ko majnūñ banāne chalā huuñ
raqīboñ se ḳhud hī karegā vo nafrat
maiñ ik daam aisā bichhāne chalā huuñ
jaleñge bhuneñge mire saare dushman
maiñ ik aag aisī lagāne chalā huuñ
kisī aur kā us ko hone na dūñgā
ye paimān apnā nibhāne chalā huuñ
use dekhte haiñ jo mailī nazar se
maiñ sar un ke tan se uḌāne chalā huuñ
use sirf apnā banā kar maiñ 'dīpak'
jahāñ bhar se jhagḌā miTāne chalā huuñ
tere naqsh dil se miTane chala hun
main taqdir phir aazmane chala hun
jo tum ne likhe the mohabbat bhare KHat
wo ganga mein sare bahane chala hun
main ghamgin rah ke jalun aur kitna
main KHush rah ke us ko jalane chala hun
nahin khel bigDega ab koi mera
main ab sare hasid bhagane chala hun
naya KHol chehre par apne chaDha ke
main laila ko majnun banane chala hun
raqibon se KHud hi karega wo nafrat
main ek dam aisa bichhane chala hun
jalenge bhunenge mere sare dushman
main ek aag aisi lagane chala hun
kisi aur ka us ko hone na dunga
ye paiman apna nibhane chala hun
use dekhte hain jo maili nazar se
main sar un ke tan se uDane chala hun
use sirf apna bana kar main 'dipak'
jahan bhar se jhagDa miTane chala hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.