tere qad talak jo hote tera kan khinch lete
tire qad talak jo hote tirā kaan khīñch lete
jo rakhā hai sar pe tū ne vo gumān khīñch lete
ye to aap haiñ jo itnā hameñ bol pā rahe haiñ
agar aur koī hotā to zabān khīñch lete
ye safar kī jo thakan hai ye na hotī vo jo hote
ki gale lagā ke mujh ko vo thakān khīñch lete
mujhe chheḌne ko un kā kabhī dil jo chāhtā to
kabhī gaal khīñch lete kabhī kaan khīñch lete
agar aañkh band kar ke mirī jaan maiñ na gaatā
tire nain kaale kaale mirā dhyān khīñch lete
un 'azīzoñ se agar tū na chhuḌātā apnā dāman
vo gale lagā ke rahbar tirī jaan khīñch lete
tere qad talak jo hote tera kan khinch lete
jo rakha hai sar pe tu ne wo guman khinch lete
ye to aap hain jo itna hamein bol pa rahe hain
agar aur koi hota to zaban khinch lete
ye safar ki jo thakan hai ye na hoti wo jo hote
ki gale laga ke mujh ko wo thakan khinch lete
mujhe chheDne ko un ka kabhi dil jo chahta to
kabhi gal khinch lete kabhi kan khinch lete
agar aankh band kar ke meri jaan main na gata
tere nain kale kale mera dhyan khinch lete
un 'azizon se agar tu na chhuData apna daman
wo gale laga ke rahbar teri jaan khinch lete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.