tere qadmon pe la kar Dal di hai zindagi humne
tire qadmoñ pe lā kar Daal dī hai zindagī ham ne
yahī to zindagī meñ baat kī hai kaam kī ham ne
kahāñ kī 'āshiqī kaisī mohabbat dil kā aanā kyā
havas kā naam mil kar rakh liyā hai 'āshiqī ham ne
ufuq meñ jab bhī dekhā āsmāñ ko sar-nigūñ dekhā
hamesha ḳhaak par dekhī jabīn-e-bartarī ham ne
na karte un se iz.hār-e-tamannā ham to achchhā thā
tamanna to gañvā.ī thī gañvā.ī baat bhī ham ne
nahīñ kaafī barā.e-efan charāġh-e-shab jalānā hī
jalā kar apnā dil duniyā ko dī hai raushnī ham ne
tumhārī bazm meñ har do taraf thī ek majbūrī
na tum ne mad-bharī āñkheñ uThā.īñ aur na pī ham ne
panaptī aarzū kī shāḳh is māhaul meñ kyūñkar
takalluf hī ravā rakkhā kabhī tum ne kabhī ham ne
ḳhabar kyā thī ki mustaqbil abhī kyā kuchh dikhā.egā
ye samjhe the ki har pahlū se duniyā dekh lī ham ne
'amar' ye vaj.h kam hai dushmanoñ ke soz-e-pinhāñ kī
ki jis mahfil meñ vo ukhḌe hamesha daad lī ham ne
tere qadmon pe la kar Dal di hai zindagi hum ne
yahi to zindagi mein baat ki hai kaam ki hum ne
kahan ki 'ashiqi kaisi mohabbat dil ka aana kya
hawas ka nam mil kar rakh liya hai 'ashiqi hum ne
ufuq mein jab bhi dekha aasman ko sar-nigun dekha
hamesha KHak par dekhi jabin-e-bartari hum ne
na karte un se izhaar-e-tamanna hum to achchha tha
tamanna to ganwai thi ganwai baat bhi hum ne
nahin kafi barae-efan charagh-e-shab jalana hi
jala kar apna dil duniya ko di hai raushni hum ne
tumhaari bazm mein har do taraf thi ek majburi
na tum ne mad-bhari aankhen uThain aur na pi hum ne
panapti aarzu ki shaKH is mahaul mein kyunkar
takalluf hi rawa rakkha kabhi tum ne kabhi hum ne
KHabar kya thi ki mustaqbil abhi kya kuchh dikhaega
ye samjhe the ki har pahlu se duniya dekh li hum ne
'amar' ye wajh kam hai dushmanon ke soz-e-pinhan ki
ki jis mahfil mein wo ukhDe hamesha dad li hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.