tere sawal ka tanha jawab main hi tha
tire savāl kā tanhā javāb maiñ hī thā
nigāh-e-nāz tirā intiḳhāb maiñ hī thā
mire hī ḳhuun se zehnoñ kī barf pighlī hai
lahūluhān pas-e-inqalāb maiñ hī thā
ye aur baat ki ab tū mujhe na pahchāne
guzishta shab tirī āñkhoñ kā ḳhvāb maiñ hī thā
mire sivā bhī ka.ī aur moḌ the lekin
tire fasāne kā lubb-e-lubāb maiñ hī thā
mire vajūd se raushan thiiñ hasrateñ terī
tire falak kā kabhī āftāb maiñ hī thā
ye merī ḳhāna-badoshī mirā nasīb na thī
ḳhud apnī zaat kī ḳhātir azaab maiñ hī thā
sabhī ke jism pe achchhā.ī kī thī muhr 'shakīl'
is anjuman meñ akelā ḳharāb maiñ hī thā
tere sawal ka tanha jawab main hi tha
nigah-e-naz tera intiKHab main hi tha
mere hi KHun se zehnon ki barf pighli hai
lahuluhan pas-e-inqalab main hi tha
ye aur baat ki ab tu mujhe na pahchane
guzishta shab teri aankhon ka KHwab main hi tha
mere siwa bhi kai aur moD the lekin
tere fasane ka lubb-e-lubab main hi tha
mere wajud se raushan thin hasraten teri
tere falak ka kabhi aaftab main hi tha
ye meri KHana-badoshi mera nasib na thi
KHud apni zat ki KHatir azab main hi tha
sabhi ke jism pe achchhai ki thi muhr 'shakil'
is anjuman mein akela KHarab main hi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.