Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere shabab ka kuchh kuchh nikhaar baqi hai

Musavvir Lakhnavi

tere shabab ka kuchh kuchh nikhaar baqi hai

Musavvir Lakhnavi

MORE BYMusavvir Lakhnavi

    tire shabāb kuchh kuchh nikhār baaqī hai

    bahār chukī rang-e-bahār baaqī hai

    vo Dhal chuke haiñ magar un se pyaar baaqī hai

    kabhī jo thī usī ḳhumār baaqī hai

    ba-shakl-e-gul ġham-e-jānāñ to ho gayā ruḳhsat

    ḳhizāñ tarah ġham-e-rozgār baaqī hai

    jo mere dil pe lagāyā thā zaḳhm yāroñ ne

    ga.e vo yaar magar naqsh-e-yār baaqī hai

    abhī se chhoḌ ke gulshan vo rahe haiñ kahāñ

    abhī to raunaq-e-fasl-e-bahār baaqī hai

    na mai-kada hai na vo shaġhl-e-mai na vo saaqī

    bas ek zindagī-e-nāgavār baaqī hai

    ba-rāh-e-dasht koī qāfila guzar to gayā

    magar fazā meñ abhī tak ġhubār baaqī hai

    jahāñ shabāb meñ ulfat ke khel khele the

    vo din guzar ga.e lekin dayār baaqī hai

    tamām āsare ek ek kar ke TuuT ga.e

    umīd-e-rahmat-e-parvardigār baaqī hai

    vo bazm-e-nāz kahāñ aur kahāñ vo jazba-e-shauq

    ab ek apnā dil-e-sogvār baaqī hai

    ga.e vo din ki mohabbat thī bhā.ī-chāra thā

    'musavvir' ab to faqat intishār baaqī hai

    tere shabab ka kuchh kuchh nikhaar baqi hai

    bahaar ja chuki rang-e-bahaar baqi hai

    wo Dhal chuke hain magar un se pyar baqi hai

    kabhi jo pi thi usi ka KHumar baqi hai

    ba-shakl-e-gul gham-e-jaanan to ho gaya ruKHsat

    KHizan ki tarah gham-e-rozgar baqi hai

    jo mere dil pe lagaya tha zaKHm yaron ne

    gae wo yar magar naqsh-e-yar baqi hai

    abhi se chhoD ke gulshan wo ja rahe hain kahan

    abhi to raunaq-e-fasl-e-bahaar baqi hai

    na mai-kada hai na wo shaghl-e-mai na wo saqi

    bas ek zindagi-e-nagawar baqi hai

    ba-rah-e-dasht koi qafila guzar to gaya

    magar faza mein abhi tak ghubar baqi hai

    jahan shabab mein ulfat ke khel khele the

    wo din guzar gae lekin dayar baqi hai

    tamam aasare ek ek kar ke TuT gae

    umid-e-rahmat-e-parwardigar baqi hai

    wo bazm-e-naz kahan aur kahan wo jazba-e-shauq

    ab ek apna dil-e-sogwar baqi hai

    gae wo din ki mohabbat thi bhai-chaara tha

    'musawwir' ab to faqat intishaar baqi hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now