tere sitam pe qanaat na ki to kuchh na kiya
tire sitam pe qanā.at na kī to kuchh na kiyā
tamām umr mohabbat na kī to kuchh na kiyā
ye dekh kar ki sukūñ se guzar rahī hai hayāt
tirī nazar ne sharārat na kī to kuchh na kiyā
ġham ik atā hai magar tū ne ai dil-e-nādāñ
bajā.e shukr shikāyat na kī to kuchh na kiyā
burā na maan ki dastūr ke ḳhilāf nahīñ
jo dostī meñ adāvat na kī to kuchh na kiyā
mizāj pūchhne vaale mirā qusūr muaaf
tavajjohāt kī zahmat na kī to kuchh na kiyā
vo chāhte haiñ to ham jaan nazr kar deñge
jo yuuñ bhī sharh-e-mohabbat na kī to kuchh na kiyā
qadam-qadam pe ye āvāz sun rahā huuñ maiñ
vafā kī raah meñ himmat na kī to kuchh na kiyā
abhī to ḳhair haram kī talāsh hai mujh ko
tire qadam kī ziyārat na kī to kuchh na kiyā
jabīn-e-shauq jhukā deñge pā-e-sāqī par
jo mai-kade meñ ibādat na kī to kuchh na kiyā
tere sitam pe qanaat na ki to kuchh na kiya
tamam umr mohabbat na ki to kuchh na kiya
ye dekh kar ki sukun se guzar rahi hai hayat
teri nazar ne shararat na ki to kuchh na kiya
gham ek ata hai magar tu ne ai dil-e-nadan
bajae shukr shikayat na ki to kuchh na kiya
bura na man ki dastur ke KHilaf nahin
jo dosti mein adawat na ki to kuchh na kiya
mizaj puchhne wale mera qusur muaf
tawajjohat ki zahmat na ki to kuchh na kiya
wo chahte hain to hum jaan nazr kar denge
jo yun bhi sharh-e-mohabbat na ki to kuchh na kiya
qadam-qadam pe ye aawaz sun raha hun main
wafa ki rah mein himmat na ki to kuchh na kiya
abhi to KHair haram ki talash hai mujh ko
tere qadam ki ziyarat na ki to kuchh na kiya
jabin-e-shauq jhuka denge pa-e-saqi par
jo mai-kade mein ibaadat na ki to kuchh na kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.