Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere wade ka har ek ko agar etibar hota

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

tere wade ka har ek ko agar etibar hota

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

MORE BYMunshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

    tire va.ade har ik ko agar e'tibār hotā

    to jahāñ meñ kuchh na hotā faqat intizār hotā

    abhī kam hai soz-e-ulfat ki nafas sharar-fishāñ hai

    agar aag tez hotī to ye sho.ala-bār hotā

    dil-o-tīr-e-ḳhūñ-chakā vo shabīh khīñch detā

    jo lahū koī qatra sar-e-nok-e-ḳhār hotā

    mujhe dard bhī thā rāhat mujhe ġham bhī thā masarrat

    jo vo mujh ko rañj de kar kabhī ġham-gusār hotā

    jo bharā hai ġham se siina to sukūt hai behtar

    ki laboñ par aah aatī to ik ishtihār hotā

    kabhī yuuñ miTā na saktā use āsmān-e-zālim

    tire dar pe o sitamgar jo mirā mazār hotā

    ye hijāb-e-jism-e-ḳhākī ki hai diid munāfī

    kabhī darmiyāñ se uThtā to visāl-e-yār hotā

    na huā asar kisī par mire nāla-e-hazīñ

    tirā tiir thā na zālim ki jigar ke paar hotā

    abhī aur tuul dete ġham-e-ishq ko 'nazar' ham

    agar apnī zindagī hameñ e'tibār hotā

    tere wade ka har ek ko agar e'tibar hota

    to jahan mein kuchh na hota faqat intizar hota

    abhi kam hai soz-e-ulfat ki nafas sharar-fishan hai

    agar aag tez hoti to ye shoala-bar hota

    dil-o-tir-e-KHun-chaka ki wo shabih khinch deta

    jo lahu ka koi qatra sar-e-nok-e-KHar hota

    mujhe dard bhi tha rahat mujhe gham bhi tha masarrat

    jo wo mujh ko ranj de kar kabhi gham-gusar hota

    jo bhara hai gham se sina to sukut hi hai behtar

    ki labon par aah aati to ek ishtihaar hota

    kabhi yun miTa na sakta use aasman-e-zalim

    tere dar pe o sitamgar jo mera mazar hota

    ye hijab-e-jism-e-KHaki ki hai did ka munafi

    kabhi darmiyan se uThta to visal-e-yar hota

    na hua asar kisi par mere nala-e-hazin ka

    tera tir tha na zalim ki jigar ke par hota

    abhi aur tul dete gham-e-ishq ko 'nazar' hum

    agar apni zindagi ka hamein e'tibar hota

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now