tere yaqin pe humne yaqin yar kiya
tire yaqīn pe ham ne yaqīn yaar kiyā
na ho rahā thā hameñ phir bhī bār-bār kiyā
namī vo aañkh meñ raushan huī hai muddat baa'd
namī ki jis kā azal se hai intizār kiyā
dilāsā de ke na laġhzish ko tū gunāh banā
mujhe zarā bhī nadāmat nahīñ ki pyaar kiyā
zamīñ rahī na rahā āsmāñ bharose kā
ḳhudā kī zaat pe jis din se e.atibār kiyā
ḳhirad to ishq ko ḳhātir meñ hī nahīñ laatā
qarār dil ko diyā dil hī be-qarār kiyā
chale haiñ silsile jab se tujhe manāne ke
hameñ hamārī anā ne hī sharmsār kiyā
tirā vo rāz-e-nihāñ aaj bhī nihāñ hī hai
ye baat aur ki tū ne to āshkār kiyā
mile koī bhī hañsī rahtī hai laboñ pe mire
ajiib lahja udāsī ne iḳhtiyār kiyā
tere yaqin pe hum ne yaqin yar kiya
na ho raha tha hamein phir bhi bar-bar kiya
nami wo aankh mein raushan hui hai muddat ba'd
nami ki jis ka azal se hai intizar kiya
dilasa de ke na laghzish ko tu gunah bana
mujhe zara bhi nadamat nahin ki pyar kiya
zamin rahi na raha aasman bharose ka
KHuda ki zat pe jis din se eatibar kiya
KHirad to ishq ko KHatir mein hi nahin lata
qarar dil ko diya dil hi be-qarar kiya
chale hain silsile jab se tujhe manane ke
hamein hamari ana ne hi sharmsar kiya
tera wo raaz-e-nihan aaj bhi nihan hi hai
ye baat aur ki tu ne to aashkar kiya
mile koi bhi hansi rahti hai labon pe mere
ajib lahja udasi ne iKHtiyar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.