teri aankhon se jab tak dekhta hun
tirī āñkhoñ se jab tak dekhtā huuñ
yaqīñ maano maiñ rab tak dekhtā huuñ
tirī āvāz ko tajsīm kar ke
tū kyā jaane maiñ kab tak dekhtā huuñ
jo chhoḌ aaya thā maiñ terī galī meñ
unhī āñkhoñ se ab tak dekhtā huuñ
mirā va.ada rahā ai jaane vaale
tumheñ dekhūñgā jab tak dekhtā huuñ
tum āñkhoñ kī tijārat kar rahe ho
tire nām-o-nasab tak dekhtā huuñ
tire pahlū meñ ḳhvābīda sharāre
mire patthar meñ ab tak dekhtā huuñ
chhupā kar pyaar kā tūfān dil meñ
sañbhal jaane kā Dhab tak dekhtā huuñ
teri aankhon se jab tak dekhta hun
yaqin mano main rab tak dekhta hun
teri aawaz ko tajsim kar ke
tu kya jaane main kab tak dekhta hun
jo chhoD aaya tha main teri gali mein
unhi aankhon se ab tak dekhta hun
mera wada raha ai jaane wale
tumhein dekhunga jab tak dekhta hun
tum aankhon ki tijarat kar rahe ho
tere nam-o-nasab tak dekhta hun
tere pahlu mein KHwabida sharare
mere patthar mein ab tak dekhta hun
chhupa kar pyar ka tufan dil mein
sanbhal jaane ka Dhab tak dekhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.