teri aawaz mein bhi koi aawaza nahin hota
tirī āvāz meñ bhī koī āvāza nahīñ hotā
tirī bātoñ se ab to koī andāza nahīñ hotā
kabhī baiThak tirī dopahar meñ ābād rahtī thī
khulā ab shaam ko bhī ghar kā darvāza nahīñ hotā
kabhī vo ik ishāre se samajh jaatā thā saarī baat
jatan karne se bhī ab us ko andāza nahīñ hotā
bahut hī ban-sañvar kar āj-kal ghar se nikaltā hai
magar ye kyā ki vo chehra tar-o-tāza nahīñ hotā
kabhī dukh aa ke rahte haiñ kabhī sukh aa ke rahte haiñ
kisī par band apne ghar kā darvāza nahīñ hotā
mire baare meñ vo kyā sochtā hai muuD kaisā hai
ab us se shaam ko bhī mil ke andāza nahīñ hotā
teri aawaz mein bhi koi aawaza nahin hota
teri baaton se ab to koi andaza nahin hota
kabhi baiThak teri dopahar mein aabaad rahti thi
khula ab sham ko bhi ghar ka darwaza nahin hota
kabhi wo ek ishaare se samajh jata tha sari baat
jatan karne se bhi ab us ko andaza nahin hota
bahut hi ban-sanwar kar aaj-kal ghar se nikalta hai
magar ye kya ki wo chehra tar-o-taza nahin hota
kabhi dukh aa ke rahte hain kabhi sukh aa ke rahte hain
kisi par band apne ghar ka darwaza nahin hota
mere bare mein wo kya sochta hai muD kaisa hai
ab us se sham ko bhi mil ke andaza nahin hota
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 205)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.