teri abru-o-tegh tez to ham-dam hain ye donon
tirī abrū-o-teġh tez to ham-dam haiñ ye donoñ
hue haiñ dil jigar bhī sāmne rustam haiñ ye donoñ
na kuchh kāġhaz meñ hai taane qalam ko dard nāloñ kā
likhūñ kyā ishq ke hālāt nā-mahram haiñ ye donoñ
lahū āñkhoñ se bahte vaqt rakh letā huuñ hāthoñ ko
jarāhat haiñ agar ve donoñ to marham haiñ ye donoñ
kaso chashme pe dariyā ke diyā uupar nazar rakhiye
hamāre dīda-e-nam-dīda kyā kuchh kam haiñ ye donoñ
lab jāñ-baḳhsh us ke maar hī rakhte haiñ āshiq ko
agarche āb-e-haivāñ haiñ va lekin sam haiñ ye donoñ
nahīñ abrū hī maa.il jhuk rahī hai teġh bhī idhar
hamāre kisht-o-ḳhūñ meñ muttafiq bāham haiñ ye donoñ
khule siine ke dāġhoñ par Thahar rahte haiñ kuchh aañsū
chaman meñ mahr-varzī ke gul-o-shabnam haiñ ye donoñ
kabhū dil rukne lagtā hai jigar gaahe taḌaptā hai
ġham-e-hijrāñ meñ chhātī ke hamārī jam haiñ ye donoñ
ḳhudā jaane ki duniyā meñ mileñ us se ki uqbā meñ
makāñ to 'mīr'-sāhib shohra-e-ālam haiñ ye donoñ
teri abru-o-tegh tez to ham-dam hain ye donon
hue hain dil jigar bhi samne rustam hain ye donon
na kuchh kaghaz mein hai tane qalam ko dard nalon ka
likhun kya ishq ke haalat na-mahram hain ye donon
lahu aankhon se bahte waqt rakh leta hun hathon ko
jarahat hain agar we donon to marham hain ye donon
kaso chashme pe dariya ke diya upar nazar rakhiye
hamare dida-e-nam-dida kya kuchh kam hain ye donon
lab jaan-baKHsh us ke mar hi rakhte hain aashiq ko
agarche aab-e-haiwan hain wa lekin sam hain ye donon
nahin abru hi mail jhuk rahi hai tegh bhi idhar
hamare kisht-o-KHun mein muttafiq baham hain ye donon
khule sine ke daghon par Thahar rahte hain kuchh aansu
chaman mein mahr-warzi ke gul-o-shabnam hain ye donon
kabhu dil rukne lagta hai jigar gahe taDapta hai
gham-e-hijran mein chhati ke hamari jam hain ye donon
KHuda jaane ki duniya mein milen us se ki uqba mein
makan to 'mir'-sahib shohra-e-alam hain ye donon
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0365
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.