teri bazm-e-naz hai rang par mere dast-e-shauq mein jam hai
teri bazm-e-naz hai rang par mere dast-e-shauq mein jam hai
Ram Krishn Muztar
MORE BYRam Krishn Muztar
tirī bazm-e-nāz hai rang par mire dast-e-shauq meñ jaam hai
ye payām de mujhe sāqiyā ki hayāt raqs-e-davām hai
na.ī aarzū hai nayā samāñ na.ī justujū hai nayā jahāñ
mire saath saath ho jab se tum na.ī sub.h hai na.ī shaam hai
hai tirī talab mirī zindagī tirā zikr hai mirī bandagī
mire dil meñ terī hī yaad hai mire lab pe terā hī naam hai
hai ġhurūr-e-husn ki be-ruḳhī ise jor kahiye ki barhamī
na qadam ruke na nazar milī na salām hai na payām hai
isī tarh 'muztar'-e-ġham-navā hai ravāñ ye ziist kā qāfila
na sukūn hai na shakeb hai na qarār hai na qiyām hai
teri bazm-e-naz hai rang par mere dast-e-shauq mein jam hai
ye payam de mujhe saqiya ki hayat raqs-e-dawam hai
nai aarzu hai naya saman nai justuju hai naya jahan
mere sath sath ho jab se tum nai subh hai nai sham hai
hai teri talab meri zindagi tera zikr hai meri bandagi
mere dil mein teri hi yaad hai mere lab pe tera hi nam hai
hai ghurur-e-husn ki be-ruKHi ise jor kahiye ki barhami
na qadam ruke na nazar mili na salam hai na payam hai
isi tarh 'muztar'-e-gham-nawa hai rawan ye zist ka qafila
na sukun hai na shakeb hai na qarar hai na qiyam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.