teri bazm se jo uTh kar tere jaan-nisar aae
tirī bazm se jo uTh kar tire jāñ-nisār aa.e
dil o jaañ kā sab asāsa tire dar pe vaar aa.e
tirā ishq ban gayā hai mirī ziist kī masāfat
ki maiñ ab jahāñ bhī jā.ūñ tirī rahguzār aa.e
tirī yaad aaj aaise dil-e-mubtalā meñ aa.ī
sar-e-dasht-e-shām jaise shab-e-nau-bahār aa.e
ġham-e-zindagī maiñ tujh par dil o jaañ nisār kar duuñ
ġham-e-ārzū meñ Dhal kar tū jo ek baar aa.e
tire ishq kī badaulat koī rañj ho ki rāhat
sar-e-zindagī jo aa.e sabhī yādgār aa.e
teri bazm se jo uTh kar tere jaan-nisar aae
dil o jaan ka sab asasa tere dar pe war aae
tera ishq ban gaya hai meri zist ki masafat
ki main ab jahan bhi jaun teri rahguzar aae
teri yaad aaj aaise dil-e-mubtala mein aai
sar-e-dasht-e-sham jaise shab-e-nau-bahaar aae
gham-e-zindagi main tujh par dil o jaan nisar kar dun
gham-e-arzu mein Dhal kar tu jo ek bar aae
tere ishq ki badaulat koi ranj ho ki rahat
sar-e-zindagi jo aae sabhi yaadgar aae
- Book : TASTEER (Pg. 433)
- Author : Nasiir Ahmed Nasir
- Publication : C-56,LDA Flats, Chanaab Block, Iqbaal Town, Lahore (Issue No. 9,10 July/August. 1999)
- Edition : Issue No. 9,10 July/August. 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.