teri be-niyaziyon ka mujhe kuchh gila nahin hai
teri be-niyaziyon ka mujhe kuchh gila nahin hai
Hairat Farrukhabadi
MORE BYHairat Farrukhabadi
tirī be-niyāziyoñ kā mujhe kuchh gila nahīñ hai
mirā dil hai ḳhuub vāqif tirā dil burā nahīñ hai
ġham-e-dost dar-haqīqat tirā rahnumā-e-manzil
vahī kam-nigāh niklā jise hausla nahīñ hai
mire ishq kā muqaddar mirī zindagī kā hāsil
ġham-e-yār ke alāva koī dūsrā nahīñ hai
tirā dard zindagī hai tirā ġham mirā muqaddar
mujhe aur chāhiye kyā mire ghar meñ kyā nahīñ hai
mujhe tū ne baḳhsh dī hai jo sazā-e-dard-e-furqat
ye to ain zindagī hai ye sazā sazā nahīñ hai
tirī justujū ke sadqe ye khulā hai raaz mujh par
ki myān-e-dair-o-ka.aba koī fāsla nahīñ hai
rah-e-ḳhalq meñ luTā de jo matā.a-e-zindagānī
vahī banda-e-ḳhudā hai vo agar ḳhudā nahīñ hai
na junūñ kī had hai koī hai na ishq hī muqayyad
kahāñ jā rahā huuñ yaaro mujhe kuchh patā nahīñ hai
ye jo raushnī hai har sū to ḳhirad hai kyoñ pareshāñ
ye jo jal rahā hai dil hai ye koī diyā nahīñ hai
mujhe ishq hai ḳhudī se maiñ farefta huuñ ḳhud par
nahīñ jo qarīb mere vo mirā ḳhudā nahīñ hai
jo mazā hai tishnagī meñ hai jo lutf-e-be-qarārī
tujhe kyā batā.ūñ hamdam tirā dil jalā nahīñ hai
kare kyuuñ asar na 'hairat' ye ġhazal tirī diloñ par
ye navā-e-sāz-e-dil hai koī falsafa nahīñ hai
teri be-niyaziyon ka mujhe kuchh gila nahin hai
mera dil hai KHub waqif tera dil bura nahin hai
gham-e-dost dar-haqiqat tera rahnuma-e-manzil
wahi kam-nigah nikla jise hausla nahin hai
mere ishq ka muqaddar meri zindagi ka hasil
gham-e-yar ke alawa koi dusra nahin hai
tera dard zindagi hai tera gham mera muqaddar
mujhe aur chahiye kya mere ghar mein kya nahin hai
mujhe tu ne baKHsh di hai jo saza-e-dard-e-furqat
ye to ain zindagi hai ye saza saza nahin hai
teri justuju ke sadqe ye khula hai raaz mujh par
ki myan-e-dair-o-kaba koi fasla nahin hai
rah-e-KHalq mein luTa de jo mataa-e-zindagani
wahi banda-e-KHuda hai wo agar KHuda nahin hai
na junun ki had hai koi hai na ishq hi muqayyad
kahan ja raha hun yaro mujhe kuchh pata nahin hai
ye jo raushni hai har su to KHirad hai kyon pareshan
ye jo jal raha hai dil hai ye koi diya nahin hai
mujhe ishq hai KHudi se main farefta hun KHud par
nahin jo qarib mere wo mera KHuda nahin hai
jo maza hai tishnagi mein hai jo lutf-e-be-qarari
tujhe kya bataun hamdam tera dil jala nahin hai
kare kyun asar na 'hairat' ye ghazal teri dilon par
ye nawa-e-saz-e-dil hai koi falsafa nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.