teri chahat mere pairon ki jo zanjir ban jae
teri chahat mere pairon ki jo zanjir ban jae
Arzoo Ashraf Sultanpuri
MORE BYArzoo Ashraf Sultanpuri
tirī chāhat mire pairoñ kī jo zanjīr ban jaa.e
to phir aise meñ jaane jaañ mirī taqdīr ban jaa.e
ḳhudā ne is qadar baḳhshī hai tujh ko husn kī daulat
tirī tasvīr jo dekhe vo ḳhud tasvīr ban jaa.e
tumhāre paañv uf ye paañv kitne ḳhūbsūrat haiñ
inheñ tum jis jagah rakh do vahīñ kashmīr ban jaa.e
jo naġhma likkhā jaa.e terī zulfoñ kī siyāhī se
kitāb-e-ishq kī sab se hasīñ tahrīr ban jaa.e
isī ummīd par bas kaT rahī hai zindagī apnī
ki ab to vasl kī shāyad koī tadbīr ban jaa.e
faqat kāñToñ se phūloñ kī hifāzat ab nahīñ mumkin
taqāzā vaqt kā hai shāḳh-e-gul shamshīr ban jaa.e
mire har ḳhvāb ko ai 'ārzū' takmīl hāsil ho
muqaddar se jo tū un kī agar ta.abīr ban jaa.e
teri chahat mere pairon ki jo zanjir ban jae
to phir aise mein jaane jaan meri taqdir ban jae
KHuda ne is qadar baKHshi hai tujh ko husn ki daulat
teri taswir jo dekhe wo KHud taswir ban jae
tumhaare panw uf ye panw kitne KHubsurat hain
inhen tum jis jagah rakh do wahin kashmir ban jae
jo naghma likkha jae teri zulfon ki siyahi se
kitab-e-ishq ki sab se hasin tahrir ban jae
isi ummid par bas kaT rahi hai zindagi apni
ki ab to wasl ki shayad koi tadbir ban jae
faqat kanTon se phulon ki hifazat ab nahin mumkin
taqaza waqt ka hai shaKH-e-gul shamshir ban jae
mere har KHwab ko ai 'arzu' takmil hasil ho
muqaddar se jo tu un ki agar tabir ban jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.