teri chahaton ke KHayal mein kai hasraten bhi milin mujhe
tirī chāhatoñ ke ḳhayāl meñ ka.ī hasrateñ bhī milīñ mujhe
tujhe dekhne ke ḳhumār meñ ka.ī ādateñ bhī milīñ mujhe
hai ajab tarah kā mo.āmla kabhī zindagī ne jo dī sazā
to sitam ke saath mire ḳhudā baḌī rāhateñ bhī milīñ mujhe
haañ burā kisī kā nahīñ kiyā magar ek dard kī baat ye
ki bhalā kiyā to kiyā magar yahīñ tohmateñ bhī milīñ mujhe
mirī zindagī meñ to nafratoñ kī siyāh raat hī thī magar
kisī raushnī kī tarah sanam tirī ulfateñ bhī milīñ mujhe
jahāñ pattharoñ ke gavāh se kabhī sach ko jhuuT banā liyā
kabhī jhuuT sach meñ badal gayā vo adālateñ bhī milīñ mujhe
mire ham-nashīñ mire ham-navā mire ham-safar mire rāzdāñ
tire dil meñ pyaar ke sāth-sāth kudūrateñ bhī milīñ mujhe
teri chahaton ke KHayal mein kai hasraten bhi milin mujhe
tujhe dekhne ke KHumar mein kai aadaten bhi milin mujhe
hai ajab tarah ka moamla kabhi zindagi ne jo di saza
to sitam ke sath mere KHuda baDi rahaten bhi milin mujhe
han bura kisi ka nahin kiya magar ek dard ki baat ye
ki bhala kiya to kiya magar yahin tohmaten bhi milin mujhe
meri zindagi mein to nafraton ki siyah raat hi thi magar
kisi raushni ki tarah sanam teri ulfaten bhi milin mujhe
jahan pattharon ke gawah se kabhi sach ko jhuT bana liya
kabhi jhuT sach mein badal gaya wo adalaten bhi milin mujhe
mere ham-nashin mere ham-nawa mere ham-safar mere raazdan
tere dil mein pyar ke sath-sath kuduraten bhi milin mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.