teri dastar par sab hans rahe hain
tirī dastār par sab hañs rahe haiñ
miyāñ sarkār par sab hañs rahe haiñ
nihatthoñ ke jo sar kaaTe ga.e haiñ
tirī talvār par sab hañs rahe haiñ
maiñ paidal chal ke izzat pā rahā huuñ
tumhārī car par sab hañs rahe haiñ
unheñ manzil kā andāza nahīñ hai
mirī raftār par sab hañs rahe haiñ
phañsegī naav tab ro.eñge saare
abhī mañjdhār par sab hañs rahe haiñ
maiñ jin kī jiit kī ḳhātir thā haarā
vo merī haar par sab hañs rahe haiñ
teri dastar par sab hans rahe hain
miyan sarkar par sab hans rahe hain
nihatthon ke jo sar kaTe gae hain
teri talwar par sab hans rahe hain
main paidal chal ke izzat pa raha hun
tumhaari car par sab hans rahe hain
unhen manzil ka andaza nahin hai
meri raftar par sab hans rahe hain
phansegi naw tab roenge sare
abhi manjdhaar par sab hans rahe hain
main jin ki jit ki KHatir tha haara
wo meri haar par sab hans rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.