teri dilbari salamat mere gham ka bol-baala
teri dilbari salamat mere gham ka bol-baala
Daulat Ram Sabir Panipati
MORE BYDaulat Ram Sabir Panipati
tirī dilbarī salāmat mire ġham kā bol-bālā
mirī ātish-e-darūñ se tire ghar meñ hai ujālā
ye mirā ḳhulūs-e-bātin vo raqīb kī numā.ish
yahāñ āñsuoñ ke motī vahāñ motiyoñ kī maalā
tirā husn fitna-sāmāñ mirā ishq vālihāna
ye junūñ to vo qayāmat paḌā āfatoñ se paalā
mirī ḳhāmushī jahālat mirā bolnā baġhāvat
mire zauq-e-āgahī ne mujhe imtihāñ meñ Daalā
to ye mai-kadā hai nāseh yahāñ ḳhud sañbhal ke rahiyo
yahāñ har rivāj ulTā yahāñ har bashar nirālā
vahī terā āstāna vahī ġham-nasīb 'sābir'
tū ne bārhā agarche baḌī be-ruḳhī se Taalā
teri dilbari salamat mere gham ka bol-baala
meri aatish-e-darun se tere ghar mein hai ujala
ye mera KHulus-e-baatin wo raqib ki numaish
yahan aansuon ke moti wahan motiyon ki mala
tera husn fitna-saman mera ishq walihana
ye junun to wo qayamat paDa aafaton se pala
meri KHamushi jahaalat mera bolna baghawat
mere zauq-e-agahi ne mujhe imtihan mein Dala
to ye mai-kada hai naseh yahan KHud sanbhal ke rahiyo
yahan har riwaj ulTa yahan har bashar nirala
wahi tera aastana wahi gham-nasib 'sabir'
tu ne barha agarche baDi be-ruKHi se Tala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.