teri duniya mein ye kya ho raha hai
tirī duniyā meñ ye kyā ho rahā hai
hañsī hoñToñ pe hai dil ro rahā hai
havā bad-kāriyoñ kī chal rahī hai
zamīr insāniyat kā so rahā hai
paḌī haiñ ḳhuun kī chhīñTeñ sabhī par
jise dekho vo dāman dho rahā hai
bashar kā ḳhuun hai paanī se sastā
tamāsha ik musalsal ho rahā hai
usī ke munharif ham bhī haiñ 'qādir'
jo da.avā aaj tak ham ko rahā hai
teri duniya mein ye kya ho raha hai
hansi honTon pe hai dil ro raha hai
hawa bad-kariyon ki chal rahi hai
zamir insaniyat ka so raha hai
paDi hain KHun ki chhinTen sabhi par
jise dekho wo daman dho raha hai
bashar ka KHun hai pani se sasta
tamasha ek musalsal ho raha hai
usi ke munharif hum bhi hain 'qadir'
jo dawa aaj tak hum ko raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.