teri gali mein jo aae wo ghar nahin jate
tirī galī meñ jo aa.e vo ghar nahīñ jaate
jo tere dar pe haiñ vo dar-ba-dar nahīñ jaate
vo ā.eñge kabhī koThe pe imtihāñ kar lo
falak se bhāge to shams-o-qamar nahīñ jaate
masīh-o-bū-alī-sīnā kī kyā huī tashḳhīs
kisī ilaaj se dāġh-e-jigar nahīñ jaate
gale lagāte haiñ un ko bahāne ruḳhsat ke
chale sharāb ki ab ham-safar nahīñ jaate
vo kaun sub.h nahīñ karte shaam kā va.ada
vo shaam kaun sī hai jo mukar nahīñ jaate
paḌhāyā tote ko ik umr bevafā niklā
azal ke bigḌe kisī se sudhar nahīñ jaate
ye aage aage kañval le ke chal rahe ho kyuuñ
vo manziloñ meñ qamar ke agar nahīñ jaate
tumhārī chashmoñ ne ḳhat par magar na Daalī aañkh
ġhazāl kis liye raihāñ ko char nahīñ jaate
falak se pūchhiye dariyā kā shor kuchh bhī hai
jo nikle dil se ye naale kidhar nahīñ jaate
ġhubār aah kā mere hai jald rail se bhī
kuchh āb-e-barq ravish taar par nahīñ jaate
laḌā ke aañkh tum āñkhoñ se ho ga.e pinhāñ
par aañkh se mirī misl-e-nazar nahīñ jaate
makān aur to laa.eq nazar nahīñ aatā
ġharīb-ḳhāna to hai kyuuñ utar nahīñ jaate
ḳhayāl-e-sabza-e-ḳhat bhī ho ai janāb-e-ḳhizr
piye haiñ āb-e-baqā aap mar nahīñ jaate
dhaḌī jamāv malo mehñdī zulf suljhāo
ġhazab kā naaz hai tum kyuuñ sañvar nahīñ jaate
tumhārī choTī kī nāgin se khelte haiñ mudām
kisī balā se ye ushshāq Dar nahīñ jaate
ḳhafā nasīm se kitne haiñ vo ilāhī ḳhair
havā bhī khāne ko shām-o-sahar nahīñ jaate
teri gali mein jo aae wo ghar nahin jate
jo tere dar pe hain wo dar-ba-dar nahin jate
wo aaenge kabhi koThe pe imtihan kar lo
falak se bhage to shams-o-qamar nahin jate
masih-o-bu-ali-sina ki kya hui tashKHis
kisi ilaj se dagh-e-jigar nahin jate
gale lagate hain un ko bahane ruKHsat ke
chale sharab ki ab ham-safar nahin jate
wo kaun subh nahin karte sham ka wada
wo sham kaun si hai jo mukar nahin jate
paDhaya tote ko ek umr bewafa nikla
azal ke bigDe kisi se sudhar nahin jate
ye aage aage kanwal le ke chal rahe ho kyun
wo manzilon mein qamar ke agar nahin jate
tumhaari chashmon ne KHat par magar na Dali aankh
ghazal kis liye raihan ko char nahin jate
falak se puchhiye dariya ka shor kuchh bhi hai
jo nikle dil se ye nale kidhar nahin jate
ghubar aah ka mere hai jald rail se bhi
kuchh aab-e-barq rawish tar par nahin jate
laDa ke aankh tum aankhon se ho gae pinhan
par aankh se meri misl-e-nazar nahin jate
makan aur to laeq nazar nahin aata
gharib-KHana to hai kyun utar nahin jate
KHayal-e-sabza-e-KHat bhi ho ai janab-e-KHizr
piye hain aab-e-baqa aap mar nahin jate
dhaDi jamaw malo mehndi zulf suljhao
ghazab ka naz hai tum kyun sanwar nahin jate
tumhaari choTi ki nagin se khelte hain mudam
kisi bala se ye ushshaq Dar nahin jate
KHafa nasim se kitne hain wo ilahi KHair
hawa bhi khane ko sham-o-sahar nahin jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.