teri gali mein tere jaan-nisar baiThe hain
teri gali mein tere jaan-nisar baiThe hain
Inayatullah Raushan Badauni
MORE BYInayatullah Raushan Badauni
tirī galī meñ tire jāñ-nisār baiThe haiñ
nigāh-e-lutf ke ummīd-vār baiThe haiñ
zamīñ pe sar ko jhukā.e hue tasavvur meñ
misāl-e-naqsh-e-qadam ḳhāksār baiThe haiñ
na chheḌ ham ko ḳhudā ke liye ki ai vā'iz
ham apne fe.aloñ se ḳhud sharmsār baiThe haiñ
firāq meñ dil-e-muztar kā iztirāb na pūchh
jigar ko thāme hue be-qarār baiThe haiñ
ravāna qāfile vaale to ho chuke 'raushan'
ham intizār meñ lail-o-nahār baiThe haiñ
teri gali mein tere jaan-nisar baiThe hain
nigah-e-lutf ke ummid-war baiThe hain
zamin pe sar ko jhukae hue tasawwur mein
misal-e-naqsh-e-qadam KHaksar baiThe hain
na chheD hum ko KHuda ke liye ki ai wa'iz
hum apne fealon se KHud sharmsar baiThe hain
firaq mein dil-e-muztar ka iztirab na puchh
jigar ko thame hue be-qarar baiThe hain
rawana qafile wale to ho chuke 'raushan'
hum intizar mein lail-o-nahaar baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.