teri gali si kisi bhi gali ki shan nahin
tirī galī sī kisī bhī galī kī shaan nahīñ
ki is zamīn pe sunte haiñ āsmān nahīñ
mizha se baḌh ke nahīñ hai jo koī tīr-e-hasīñ
tumhāre abrū se dilkash koī kamān nahīñ
sisak rahe haiñ jo saḌkoñ pe saiñkaḌoñ insāñ
tumhāre shahr meñ shāyad koī makān nahīñ
yahīñ bahisht hai yaaro yahīñ hai dozaḳh bhī
ki is jahān se aage koī jahān nahīñ
mirī ḳhamoshī kā matlab nahīñ qarār-o-sukūñ
bharā hai dard se dil tāqat-e-bayān nahīñ
adū ko dete haiñ tarjīh mujh se ḳhādim par
bure-bhale ke parī-vash mizāj-dān nahīñ
hamāre shahr meñ har ek is tarah chup hai
ki jaise muñh meñ kisī shaḳhs ke zabān nahīñ
ye ashk manzil-e-āḳhir haiñ 'ishq kī hamdam
ki in sitāroñ se aage koī nishān nahīñ
ho 'faḳhr' ḳhaak mujhe qaum kī taraqqī par
jo fard-e-qaum ye mazdūr aur kisān nahīñ
teri gali si kisi bhi gali ki shan nahin
ki is zamin pe sunte hain aasman nahin
mizha se baDh ke nahin hai jo koi tir-e-hasin
tumhaare abru se dilkash koi kaman nahin
sisak rahe hain jo saDkon pe sainkaDon insan
tumhaare shahr mein shayad koi makan nahin
yahin bahisht hai yaro yahin hai dozaKH bhi
ki is jahan se aage koi jahan nahin
meri KHamoshi ka matlab nahin qarar-o-sukun
bhara hai dard se dil taqat-e-bayan nahin
adu ko dete hain tarjih mujh se KHadim par
bure-bhale ke pari-wash mizaj-dan nahin
hamare shahr mein har ek is tarah chup hai
ki jaise munh mein kisi shaKHs ke zaban nahin
ye ashk manzil-e-aKHir hain 'ishq ki hamdam
ki in sitaron se aage koi nishan nahin
ho 'faKHr' KHak mujhe qaum ki taraqqi par
jo fard-e-qaum ye mazdur aur kisan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.