teri jab mehrban yaaden hui hain
tirī jab mehrbāñ yādeñ huī haiñ
bahut hī ḳhushnumā rāteñ huī haiñ
havāoñ se bahut Darne lagā huuñ
ghanī jab se mirī shāḳheñ huī haiñ
vo jis din se huā hai duur mujh se
mirī us se bahut bāteñ huī haiñ
unhīñ par jī rahe haiñ ham abhī tak
jo ḳhvāboñ meñ mulāqāteñ huī haiñ
dhuāñ niklā hai terī khiḌkiyoñ se
magar pur-nam mirī āñkheñ huī haiñ
tirī ḳhushbū fazā meñ ghul ga.ī kyā
mo'attar kyoñ mirī sāñseñ huī haiñ
teri jab mehrban yaaden hui hain
bahut hi KHushnuma raaten hui hain
hawaon se bahut Darne laga hun
ghani jab se meri shaKHen hui hain
wo jis din se hua hai dur mujh se
meri us se bahut baaten hui hain
unhin par ji rahe hain hum abhi tak
jo KHwabon mein mulaqaten hui hain
dhuan nikla hai teri khiDkiyon se
magar pur-nam meri aankhen hui hain
teri KHushbu faza mein ghul gai kya
mo'attar kyon meri sansen hui hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.