teri jab tak kami baqi rahegi
tirī jab tak kamī baaqī rahegī
mirī āvārgī baaqī rahegī
bikhar jā.ūñgā maiñ lekin nazar meñ
shabīh-e-shabnamī baaqī rahegī
tirī aamad se mere gulsitāñ meñ
guloñ meñ tāzgī baaqī rahegī
tumhārī be-ruḳhī badle na badle
hamārī bebasī baaqī rahegī
maiñ jab tak DhūñD luuñ 'tanhā' na us ko
in āñkhoñ meñ namī baaqī rahegī
teri jab tak kami baqi rahegi
meri aawargi baqi rahegi
bikhar jaunga main lekin nazar mein
shabih-e-shabnami baqi rahegi
teri aamad se mere gulsitan mein
gulon mein tazgi baqi rahegi
tumhaari be-ruKHi badle na badle
hamari bebasi baqi rahegi
main jab tak DhunD lun 'tanha' na us ko
in aankhon mein nami baqi rahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.