teri jafa ba-KHuda bais-e-gazand nahin
tirī jafā ba-ḳhudā bā.is-e-gazand nahīñ
mazāq-e-ishq tirā kuchh magar buland nahīñ
niyāz-e-husn ke qābil to maiñ nahīñ lekin
ye kis tarah se kahūñ maiñ niyāz-mand nahīñ
use ḳhabar nahīñ kyā shai hai ishrat-e-abadī
jo tere dard-e-mohabbat se bahra-mand nahīñ
baḌā ho koī to ḳhātir meñ ham nahīñ laate
jo past ho ke mohabbat meñ sar-buland nahīñ
nazar ke sāmne phirtī hai kis liye har dam
vo ik adā jo use ḳhud bhī kuchh pasand nahīñ
nahīñ ki sharm-o-hayā vasf-e-ḳhās hai us kā
ki ye hijābī-o-shoḳhī meñ vo bhī band nahīñ
hazār kaam haiñ aise jinheñ maiñ kartā huuñ
agarche dil se mujhe ek bhī pasand nahīñ
satāne vāloñ se apne ye pūchhtā huuñ 'jalīl'
tumhāre sīnoñ meñ kyā qalb-e-dard-mand nahīñ
teri jafa ba-KHuda bais-e-gazand nahin
mazaq-e-ishq tera kuchh magar buland nahin
niyaz-e-husn ke qabil to main nahin lekin
ye kis tarah se kahun main niyaz-mand nahin
use KHabar nahin kya shai hai ishrat-e-abadi
jo tere dard-e-mohabbat se bahra-mand nahin
baDa ho koi to KHatir mein hum nahin late
jo past ho ke mohabbat mein sar-buland nahin
nazar ke samne phirti hai kis liye har dam
wo ek ada jo use KHud bhi kuchh pasand nahin
nahin ki sharm-o-haya wasf-e-KHas hai us ka
ki ye hijabi-o-shoKHi mein wo bhi band nahin
hazar kaam hain aise jinhen main karta hun
agarche dil se mujhe ek bhi pasand nahin
satane walon se apne ye puchhta hun 'jalil'
tumhaare sinon mein kya qalb-e-dard-mand nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.