teri kaamyabi meri kaamyabi barabar nahin
tirī kāmyābī mirī kāmyābī barābar nahīñ
yahāñ tak pahuñchne meñ mehnat hai merī muqaddar nahīñ
ḳhudā ne yahāñ kaise-kaisoñ kī jholī meñ kyā kyā diyā
hameñ maut ke vaqt bhī terī bāheñ mayassar nahīñ
use apnī ġhaltī ka ehsās hotā rahā 'umr-bhar
maiñ ruḳhsat huā thā use chuum kar laḌ-jhagaḌ kar nahīñ
ujālā banānā to thā par añdherā miTānā na thā
nayā 'ishq karnā thā lekin purānā bhulā kar nahīñ
isī nām-o-sūrat ka ik shaḳhs is ghar meñ rahtā to hai
magar DhūñDhtī ho jise tum vo 'arse se ghar par nahīñ
teri kaamyabi meri kaamyabi barabar nahin
yahan tak pahunchne mein mehnat hai meri muqaddar nahin
KHuda ne yahan kaise-kaison ki jholi mein kya kya diya
hamein maut ke waqt bhi teri bahen mayassar nahin
use apni ghalti ka ehsas hota raha 'umr-bhar
main ruKHsat hua tha use chum kar laD-jhagaD kar nahin
ujala banana to tha par andhera miTana na tha
naya 'ishq karna tha lekin purana bhula kar nahin
isi nam-o-surat ka ek shaKHs is ghar mein rahta to hai
magar DhunDhti ho jise tum wo 'arse se ghar par nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.