teri KHamoshi zaban-dani se mawara hai
tirī ḳhamoshī zabān-dānī se māvarā hai
ye baat alfāz aur ma.ānī se māvarā hai
hamārī tishna-labī ko kaafī nahīñ hai dariyā
ham aise pyāsoñ kī pyaas paanī se māvarā hai
ye zindagī jis ko sab adākār chāhte haiñ
hamārā kirdār is kahānī se māvarā hai
hamārī tishna-dilī mohabbat se kyā bujhegī
hamārī ḳhvāhish tirī javānī se māvarā hai
mirī duā meñ savāl baḳhshish kā hai vagarna
jo mar gayā hai vo mehrbānī se māvarā hai
teri KHamoshi zaban-dani se mawara hai
ye baat alfaz aur maani se mawara hai
hamari tishna-labi ko kafi nahin hai dariya
hum aise pyason ki pyas pani se mawara hai
ye zindagi jis ko sab adakar chahte hain
hamara kirdar is kahani se mawara hai
hamari tishna-dili mohabbat se kya bujhegi
hamari KHwahish teri jawani se mawara hai
meri dua mein sawal baKHshish ka hai wagarna
jo mar gaya hai wo mehrbani se mawara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.