teri KHidmat mein baiThe hue hain
tirī ḳhidmāt meñ baiThe hue haiñ
ki sab auqāt meñ baiThe hue haiñ
chhupānā chāhte haiñ apne aañsū
so ham barsāt meñ baiThe hue haiñ
bahut dushvār hai ghar se nikalnā
adū sab ghaat meñ baiThe hue haiñ
hamāre naam meñ jitne haiñ akhshar
tirī har baat meñ baiThe hue haiñ
parindoñ ghoñsloñ meñ rahnā apne
shikārī ghaat meñ baiThe hue haiñ
hamāre pīchhe chalte the kabhī jo
ab un ke saath meñ baiThe hue haiñ
talāsh-e-āftāb-e-ishq meñ sab
añdherī raat meñ baiThe hue haiñ
teri KHidmat mein baiThe hue hain
ki sab auqat mein baiThe hue hain
chhupana chahte hain apne aansu
so hum barsat mein baiThe hue hain
bahut dushwar hai ghar se nikalna
adu sab ghat mein baiThe hue hain
hamare nam mein jitne hain akhshar
teri har baat mein baiThe hue hain
parindon ghonslon mein rahna apne
shikari ghat mein baiThe hue hain
hamare pichhe chalte the kabhi jo
ab un ke sath mein baiThe hue hain
talash-e-aftab-e-ishq mein sab
andheri raat mein baiThe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.