teri KHushbu tera lahja main kahan se laun
tirī ḳhushbū tirā lahja maiñ kahāñ se lā.ūñ
tū batā de tire jaisā maiñ kahāñ se lā.ūñ
chāñd ko gher ke rakhte haiñ sitāre har shab
phir bhalā chāñd ko tanhā maiñ kahāñ se lā.ūñ
chashm-e-tar meñ bhī rahe aur bharam bhī rakh le
aisā Thahrā huā dariyā maiñ kahāñ se lā.ūñ
us kī ḳhvāhish hai ta.alluq kā koī naam na ho
aisā be-nām sā rishta maiñ kahāñ se lā.ūñ
jazb kar le mujhe ḳhud meñ jo samā le mujh ko
ḳhushkiyoñ meñ vo jazīra maiñ kahāñ se lā.ūñ
khīñch laa.e jo gunāhoñ ke samundar se mujhe
ik nadāmat kā vo qatra maiñ kahāñ se lā.ūñ
teri KHushbu tera lahja main kahan se laun
tu bata de tere jaisa main kahan se laun
chand ko gher ke rakhte hain sitare har shab
phir bhala chand ko tanha main kahan se laun
chashm-e-tar mein bhi rahe aur bharam bhi rakh le
aisa Thahra hua dariya main kahan se laun
us ki KHwahish hai talluq ka koi nam na ho
aisa be-nam sa rishta main kahan se laun
jazb kar le mujhe KHud mein jo sama le mujh ko
KHushkiyon mein wo jazira main kahan se laun
khinch lae jo gunahon ke samundar se mujhe
ek nadamat ka wo qatra main kahan se laun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.