teri KHushi na mili mujhko tera gham bhi nahin
tirī ḳhushī na milī mujh ko terā ġham bhī nahīñ
hayāt kyā hai mirī ab qazā se kam bhī nahīñ
ye kis maqām pe saaqī ne lā ke chhoḌā hai
nahīñ hai sāġhar-e-jam to yahāñ pe sam bhī nahīñ
hai mere zarf meñ jitnā bharā vo paimāna
sharāb us meñ hai jo us meñ koī dam bhī nahīñ
utaar letā maiñ saare ġhamoñ kā us se nasha
harīf-e-ġham kā ho aisā ye jām-e-jam bhī nahīñ
javān-sāl huuñ mujh ko na shān-e-pīrī de
siyāh-rīsh abhī huuñ kamar meñ ḳham bhī nahīñ
tire alam ne kiyā hai 'asar' ko pazhmurda
milā.ūñ ziist se āñkheñ ab itnā dam bhī nahīñ
teri KHushi na mili mujh ko tera gham bhi nahin
hayat kya hai meri ab qaza se kam bhi nahin
ye kis maqam pe saqi ne la ke chhoDa hai
nahin hai saghar-e-jam to yahan pe sam bhi nahin
hai mere zarf mein jitna bhara wo paimana
sharab us mein hai jo us mein koi dam bhi nahin
utar leta main sare ghamon ka us se nasha
harif-e-gham ka ho aisa ye jam-e-jam bhi nahin
jawan-sal hun mujh ko na shan-e-piri de
siyah-rish abhi hun kamar mein KHam bhi nahin
tere alam ne kiya hai 'asar' ko pazhmurda
milaun zist se aankhen ab itna dam bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.