teri mahak ne hi tera pata diya hai mujhe
tirī mahak ne hī terā pata diyā hai mujhe
ḳhudā kā shukr ki tujh se milā diyā hai mujhe
maiñ ek tiir thā us kī kamān meñ rakkhā
aur us ne yūñhī havā meñ chalā diyā hai mujhe
kisī ne āñkheñ sajā.ī thiiñ mere chehre par
kisī kā ḳhvāb thā lekin dikhā diyā hai mujhe
tavīl raat thī us ko sulā ke soyā thā
aur us ne ḳhvāb meñ jā kar jagā diyā hai mujhe
to us kī aañkh meñ aañsū haiñ kis liye 'ārib'
vo kah rahā thā ki yaksar bhulā diyā hai mujhe
teri mahak ne hi tera pata diya hai mujhe
KHuda ka shukr ki tujh se mila diya hai mujhe
main ek tir tha us ki kaman mein rakkha
aur us ne yunhi hawa mein chala diya hai mujhe
kisi ne aankhen sajai thin mere chehre par
kisi ka KHwab tha lekin dikha diya hai mujhe
tawil raat thi us ko sula ke soya tha
aur us ne KHwab mein ja kar jaga diya hai mujhe
to us ki aankh mein aansu hain kis liye 'arib'
wo kah raha tha ki yaksar bhula diya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.