teri mahfil se jab uTh kar tera diwana aata hai
tirī mahfil se jab uTh kar tirā dīvāna aatā hai
kabhī ta.azīm ko ka.aba kabhī but-ḳhāna aatā hai
kiyā karte haiñ farzāne bhī uTh kar ehtirām us kā
tumhārī bazm meñ jab bhī koī dīvāna aatā hai
havas vaale tirī mahfil meñ kab tak baiTh sakte haiñ
vo uTh jaate haiñ sū-e-sham.a jab parvāna aatā hai
dikhā detā hai tūfāñ sab ko dariyā-e-haqīqat kā
kabhī jab mauj par apnī tirā dīvāna aatā hai
ḳhudā ko be-ḳhabar apnī asīrī se kahūñ kyūñ-kar
qafas meñ mujh se pahle merā āb-o-dāna aatā hai
hamāre muñh se kyā kyā be-takalluf phuul jhaḌte haiñ
zabāñ par jab kabhī zikr-e-ruḳh-e-jānāna aatā hai
use chhoḌe hue muddat huī hai ai haram vaalo
na jaane yaad ab tak kyuuñ mujhe but-ḳhāna aatā hai
tirī mahfil meñ sab ai sham.a aate haiñ tamāshā.ī
aqīdat se koī aatā hai to parvāna aatā hai
hamārī bāda-ḳhvārī bhī hai 'sāhir' rashk ke qābil
na pahuñcheñ ham agar chal kar yahāñ mai-ḳhāna aatā hai
teri mahfil se jab uTh kar tera diwana aata hai
kabhi tazim ko kaba kabhi but-KHana aata hai
kiya karte hain farzane bhi uTh kar ehtiram us ka
tumhaari bazm mein jab bhi koi diwana aata hai
hawas wale teri mahfil mein kab tak baiTh sakte hain
wo uTh jate hain su-e-shama jab parwana aata hai
dikha deta hai tufan sab ko dariya-e-haqiqat ka
kabhi jab mauj par apni tera diwana aata hai
KHuda ko be-KHabar apni asiri se kahun kyun-kar
qafas mein mujh se pahle mera aab-o-dana aata hai
hamare munh se kya kya be-takalluf phul jhaDte hain
zaban par jab kabhi zikr-e-ruKH-e-jaanana aata hai
use chhoDe hue muddat hui hai ai haram walo
na jaane yaad ab tak kyun mujhe but-KHana aata hai
teri mahfil mein sab ai shama aate hain tamashai
aqidat se koi aata hai to parwana aata hai
hamari baada-KHwari bhi hai 'sahir' rashk ke qabil
na pahunchen hum agar chal kar yahan mai-KHana aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.