teri mahfil se uTh kar ishq ke maron pe kya guzri
tirī mahfil se uTh kar ishq ke māroñ pe kyā guzrī
muḳhālif ik jahāñ thā jaane bechāroñ pe kyā guzrī
sahar ko ruḳhsat-e-bīmār-e-furqat dekhne vaalo
kisī ne ye bhī dekhā raat bhar tāroñ pe kyā guzrī
sunā hai zindagī vīrāniyoñ ne luuT lī mil kar
na jaane zindagī ke nāz-bardāroñ pe kyā guzrī
hañsī aa.ī to hai be-kaif sī lekin ḳhudā jaane
mujhe masrūr pā kar mere ġham-ḳhvāroñ pe kyā guzrī
ye zāhid haiñ inheñ kyā tajraba ejāz-e-ulfat kā
ye to jannat meñ bhī pūchheñ gunahgāroñ pe kyā guzrī
teri mahfil se uTh kar ishq ke maron pe kya guzri
muKHalif ek jahan tha jaane bechaaron pe kya guzri
sahar ko ruKHsat-e-bimar-e-furqat dekhne walo
kisi ne ye bhi dekha raat bhar taron pe kya guzri
suna hai zindagi viraniyon ne luT li mil kar
na jaane zindagi ke naz-bardaron pe kya guzri
hansi aai to hai be-kaif si lekin KHuda jaane
mujhe masrur pa kar mere gham-KHwaron pe kya guzri
ye zahid hain inhen kya tajraba ejaz-e-ulfat ka
ye to jannat mein bhi puchhen gunahgaron pe kya guzri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.