teri mahfil tere kuche ka pata yaad nahin
tirī mahfil tire kūche kā patā yaad nahīñ
phir bhī jiite haiñ ki marne kī adā yaad nahīñ
maiñ to chhoḌ aaya thā ik bhiiḌ sar-e-rāh-e-vafā
kaun kis moḌ se kab lauT gayā yaad nahīñ
aaj dil par tapish-e-asr-e-ravāñ taarī hai
aaj us shoḳh kī āñchal kī havā yaad nahīñ
lazzat-e-zaḳhm-e-jigar talḳhī-e-sahbā-e-junūñ
ab koī chiiz tire ġham ke sivā yaad nahīñ
zehn be-āb chaTānoñ kī tarah jaltā hai
tirī zulfeñ tirī zulfoñ kī ghaTā yaad nahīñ
aap ne ḳhud ko batāyā thā masīh-e-daurāñ
aap ko bhī mire zaḳhmoñ kī davā yaad nahīñ
thī jab ik dhuum hadīs-e-lab-o-gesū 'ishrat'
vo zamāne vo fazā.eñ ba-ḳhudā yaad nahīñ
teri mahfil tere kuche ka pata yaad nahin
phir bhi jite hain ki marne ki ada yaad nahin
main to chhoD aaya tha ek bhiD sar-e-rah-e-wafa
kaun kis moD se kab lauT gaya yaad nahin
aaj dil par tapish-e-asr-e-rawan tari hai
aaj us shoKH ki aanchal ki hawa yaad nahin
lazzat-e-zaKHm-e-jigar talKHi-e-sahba-e-junun
ab koi chiz tere gham ke siwa yaad nahin
zehn be-ab chaTanon ki tarah jalta hai
teri zulfen teri zulfon ki ghaTa yaad nahin
aap ne KHud ko bataya tha masih-e-dauran
aap ko bhi mere zaKHmon ki dawa yaad nahin
thi jab ek dhum hadis-e-lab-o-gesu 'ishrat'
wo zamane wo fazaen ba-KHuda yaad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.