teri mohabbat mein gham jo aae to us se baDh kar KHushi nahin hai
teri mohabbat mein gham jo aae to us se baDh kar KHushi nahin hai
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
tirī mohabbat meñ ġham jo aa.e to us se baḌh kar ḳhushī nahīñ hai
vafā kī manzil ke ḳhaar meñ bhī guloñ se kam dil-kashī nahīñ hai
na tujh meñ jur.at hai riñd kī sī na tujh meñ vus.at dil-o-nazar kī
aziim shai hai ye rasm-e-rindī ye sirf bāda-kashī nahīñ hai
libās-e-nau meñ havas ne aa kar mazāq-e-husn-o-nazar haiñ badle
vo ishq meñ hai na sarfaroshī vo husn meñ dilbarī nahīñ hai
tujhī se garmī thī mahfiloñ kī tujhī se thī vo chaman kī saireñ
nahīñ vo mahfil meñ lutf baaqī guloñ ke lab par hañsī nahīñ hai
nahīñ ye mumkin ki us ke dar se tū ḳhālī dāman hī lauT jaa.e
talab hī terī hai ḳhaam ab tak nazar bhī dar par jamī nahīñ hai
ḳhirad kī go haiñ hazār āñkheñ hai dil kī sirf ek aañkh lekin
jo dil kī bujh jaa.e sham-e-ulfat to phir kahīñ raushnī nahīñ hai
ġham-āshnā terā dil nahīñ hai to aa.e us meñ gudāz kaise
jo saaz dil kā nahīñ hai TuuTā to us meñ phir naġhmagī nahīñ hai
karoge kyā tum 'habīb' āḳhir hayāt-e-tūl-o-tavīl le kar
tabassum-e-gul ke ek lamhe meñ kyā koī zindagī nahīñ hai
teri mohabbat mein gham jo aae to us se baDh kar KHushi nahin hai
wafa ki manzil ke KHar mein bhi gulon se kam dil-kashi nahin hai
na tujh mein jurat hai rind ki si na tujh mein wusat dil-o-nazar ki
azim shai hai ye rasm-e-rindi ye sirf baada-kashi nahin hai
libas-e-nau mein hawas ne aa kar mazaq-e-husn-o-nazar hain badle
wo ishq mein hai na sarfaroshi wo husn mein dilbari nahin hai
tujhi se garmi thi mahfilon ki tujhi se thi wo chaman ki sairen
nahin wo mahfil mein lutf baqi gulon ke lab par hansi nahin hai
nahin ye mumkin ki us ke dar se tu KHali daman hi lauT jae
talab hi teri hai KHam ab tak nazar bhi dar par jami nahin hai
KHirad ki go hain hazar aankhen hai dil ki sirf ek aankh lekin
jo dil ki bujh jae sham-e-ulfat to phir kahin raushni nahin hai
gham-ashna tera dil nahin hai to aae us mein gudaz kaise
jo saz dil ka nahin hai TuTa to us mein phir naghmagi nahin hai
karoge kya tum 'habib' aaKHir hayat-e-tul-o-tawil le kar
tabassum-e-gul ke ek lamhe mein kya koi zindagi nahin hai
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 54)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.