teri nafrat ko tera pyar samajhta hun main
tirī nafrat ko tirā pyaar samajhtā huuñ maiñ
dhuup ko sāya-e-dīvār samajhtā huuñ maiñ
sādgī dekh mirī soch-samajh kar zālim
apnī taqdīr ko bedār samajhtā huuñ maiñ
ba.az auqāt to is darja bahak jaatā huuñ
dostoñ ko bhī vafādār samajhtā huuñ maiñ
merī tā.īd ko tā.īd samajhne vaale
tere har lafz ko talvār samajhtā huuñ maiñ
mujh ko ma.alūm hai anjām-e-sadāqat 'ishrat'
ḳhud ko har lamha sar-e-dār samajhtā huuñ maiñ
teri nafrat ko tera pyar samajhta hun main
dhup ko saya-e-diwar samajhta hun main
sadgi dekh meri soch-samajh kar zalim
apni taqdir ko bedar samajhta hun main
baz auqat to is darja bahak jata hun
doston ko bhi wafadar samajhta hun main
meri taid ko taid samajhne wale
tere har lafz ko talwar samajhta hun main
mujh ko malum hai anjam-e-sadaqat 'ishrat'
KHud ko har lamha sar-e-dar samajhta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.