teri nazar ke fusun ka asar dikhai diya
tirī nazar ke fusūñ kā asar dikhā.ī diyā
jidhar nahīñ thā zamāna udhar dikhā.ī diyā
hamārā ham se ta.āruf karā diyā us ne
kabhī kahīñ jo koī dīda-var dikhā.ī diyā
hameñ kisī ne kaḌī dhuup meñ panāh na dī
koī shajar na sar-e-rahguzar dikhā.ī diyā
jo log baiTh ga.e thak ke raah meñ un ko
qarīb aa ke bahut duur ghar dikhā.ī diyā
bharī uḌaan to mujh ko fazā milī masmūm
zamīñ pe utrā to be-bāl-o-par dikhā.ī diyā
rah-e-hayāt meñ jab tak vo mere saath rahe
ġham-e-hayāt bhī gard-e-safar dikhā.ī diyā
kisī ne ham se bahut din meñ ḳhairiyat pūchhī
bahut dinoñ meñ koī raah par dikhā.ī diyā
vo zad se gardish-e-daurāñ kī bach ga.e 'nazmī'
khulā huā jinheñ saaqī kā dar dikhā.ī diyā
teri nazar ke fusun ka asar dikhai diya
jidhar nahin tha zamana udhar dikhai diya
hamara hum se taaruf kara diya us ne
kabhi kahin jo koi dida-war dikhai diya
hamein kisi ne kaDi dhup mein panah na di
koi shajar na sar-e-rahguzar dikhai diya
jo log baiTh gae thak ke rah mein un ko
qarib aa ke bahut dur ghar dikhai diya
bhari uDan to mujh ko faza mili masmum
zamin pe utra to be-baal-o-par dikhai diya
rah-e-hayat mein jab tak wo mere sath rahe
gham-e-hayat bhi gard-e-safar dikhai diya
kisi ne hum se bahut din mein KHairiyat puchhi
bahut dinon mein koi rah par dikhai diya
wo zad se gardish-e-dauran ki bach gae 'nazmi'
khula hua jinhen saqi ka dar dikhai diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.