teri nazar mein yaqinan hai wo bashar achchha
teri nazar mein yaqinan hai wo bashar achchha
Farhat Husain Khushdil
MORE BYFarhat Husain Khushdil
tirī nazar meñ yaqīnan hai vo bashar achchhā
ho jis kī baat kā dil par tire asar achchhā
qadam qadam pe na.e marhale rahe darpesh
rukāvaTeñ thiiñ magar kaT gayā safar achchhā
darāz ho ke sabhī mas.ale simaTte ga.e
na jaane kis kī duāoñ kā thā asar achchhā
har ek sher kī tafhīm pe ho jis kī nazar
to har nazar meñ hai vo sāhib-e-nazar achchhā
ḳhudā kā shukr hai 'ḳhush-dil' vo ḳhush hue mujh se
sulūk-e-mehr-o-vafā kā huā asar achchhā
teri nazar mein yaqinan hai wo bashar achchha
ho jis ki baat ka dil par tere asar achchha
qadam qadam pe nae marhale rahe darpesh
rukawaTen thin magar kaT gaya safar achchha
daraaz ho ke sabhi masale simaTte gae
na jaane kis ki duaon ka tha asar achchha
har ek sher ki tafhim pe ho jis ki nazar
to har nazar mein hai wo sahib-e-nazar achchha
KHuda ka shukr hai 'KHush-dil' wo KHush hue mujh se
suluk-e-mehr-o-wafa ka hua asar achchha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.