teri nazar se chhupa ke rakkhun
tirī nazar se chhupā ke rakkhūñ
maiñ kaise ḳhud ko bachā ke rakhūñ
zamāne tujh ko gila hai mujh se
maiñ kaise duniyā basā ke rakkhūñ
mirī nazar āsmān par hai
zamīñ pe kaise jhukā ke rakkhūñ
raqīb rakhte haiñ laakh shikve
habīb kaise manā ke rakkhūñ
daraḳht mujh par haiñ jaan dete
maiñ phuul kaise sajā ke rakkhūñ
falak se utre haiñ chāñd taare
maiñ kaise kirneñ dabā ke rakkhūñ
chhupā.e dil ke haiñ daaġh 'kishvar''
jabīñ pe kaise lagā ke rakkhūñ
teri nazar se chhupa ke rakkhun
main kaise KHud ko bacha ke rakhun
zamane tujh ko gila hai mujh se
main kaise duniya basa ke rakkhun
meri nazar aasman par hai
zamin pe kaise jhuka ke rakkhun
raqib rakhte hain lakh shikwe
habib kaise mana ke rakkhun
daraKHt mujh par hain jaan dete
main phul kaise saja ke rakkhun
falak se utre hain chand tare
main kaise kirnen daba ke rakkhun
chhupae dil ke hain dagh 'kishwar
jabin pe kaise laga ke rakkhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.