teri nazar se zamane badalte rahte hain
tirī nazar se zamāne badalte rahte haiñ
ye log tere bahāne badalte rahte haiñ
fazā-e-kunj-e-chaman meñ hameñ talāsh na kar
musāfiroñ ke Thikāne badalte rahte haiñ
nafas nafas mutaġhayyar hai dāstān-e-hayāt
qadam qadam pe fasāne badalte rahte haiñ
kabhī jigar pe kabhī dil pe choT paḌtī hai
tirī nazar ke nishāne badalte rahte haiñ
lagī hai 'saif' nazar inqilāb-e-daurāñ par
sunā to hai ki zamāne badalte rahte haiñ
teri nazar se zamane badalte rahte hain
ye log tere bahane badalte rahte hain
faza-e-kunj-e-chaman mein hamein talash na kar
musafiron ke Thikane badalte rahte hain
nafas nafas mutaghayyar hai dastan-e-hayat
qadam qadam pe fasane badalte rahte hain
kabhi jigar pe kabhi dil pe choT paDti hai
teri nazar ke nishane badalte rahte hain
lagi hai 'saif' nazar inqilab-e-dauran par
suna to hai ki zamane badalte rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.