teri nigah ke jadu bikharte jate hain
tirī nigāh ke jaadū bikharte jaate haiñ
jo zaḳhm dil ko mile the vo bharte jaate haiñ
tire baġhair vo din bhī guzar ga.e āḳhir
tire baġhair ye din bhī guzarte jaate haiñ
liye chalo mujhe dariyā-e-shauq kī maujo
ki ham-safar to mire paar utarte jaate haiñ
tamām-umr jahāñ hañste khelte guzrī
ab us galī meñ bhī ham Darte Darte jaate haiñ
maiñ ḳhvāhishoñ ke gharauñde banā.e jaatā huuñ
vo mehnateñ mirī barbād karte jaate haiñ
teri nigah ke jadu bikharte jate hain
jo zaKHm dil ko mile the wo bharte jate hain
tere baghair wo din bhi guzar gae aaKHir
tere baghair ye din bhi guzarte jate hain
liye chalo mujhe dariya-e-shauq ki maujo
ki ham-safar to mere par utarte jate hain
tamam-umr jahan hanste khelte guzri
ab us gali mein bhi hum Darte Darte jate hain
main KHwahishon ke gharaunde banae jata hun
wo mehnaten meri barbaad karte jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.