teri nigah ki aniyan jigar mein saliyan hain
tirī nigāh kī aniyāñ jigar meñ saliyāñ haiñ
najānūñ kaun se zahr-āb biich paliyāñ haiñ
udhar siiñ tund nigāheñ idhar dil-e-nāzuk
kidhar ke tiir kī choTeñ kidhar kuuñ chaliyāñ haiñ
ḳhayāl-e-ġhuncha-dahan meñ za-bas-ki jaarī hai
hamāre ashk kī laḌ motiye kī kaliyāñ haiñ
zabān-e-hāl siiñ kahtā hai un kā naqsh-e-qadam
bahisht-e-dīda-o-dil ḳhush-qadoñ kī galiyāñ haiñ
na pūchh sarv kā un qumriyoñ kuuñ ḳhāk-nashīñ
vo sho.ala-qad ke dukhoñ ai 'sirāj' jaliyāñ haiñ
teri nigah ki aniyan jigar mein saliyan hain
najaanun kaun se zahr-ab bich paliyan hain
udhar sin tund nigahen idhar dil-e-nazuk
kidhar ke tir ki choTen kidhar kun chaliyan hain
KHayal-e-ghuncha-dahan mein za-bas-ki jari hai
hamare ashk ki laD motiye ki kaliyan hain
zaban-e-haal sin kahta hai un ka naqsh-e-qadam
bahisht-e-dida-o-dil KHush-qadon ki galiyan hain
na puchh sarw ka un qumriyon kun KHak-nashin
wo shoala-qad ke dukhon ai 'siraj' jaliyan hain
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 503)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.