teri nigah mein ho husn-e-iltimas kahan
tirī nigāh meñ ho husn-e-iltimās kahāñ
bujhegī haa.e mire dil kī ab ye pyaas kahāñ
yahāñ to band darīche haiñ aur kuchh bhī nahīñ
mujhe le aa.ī hai tū ai nigāh-e-yās kahāñ
ḳhulūs-o-mehr-o-vafā nazr-e-tajrabāt hue
tamām jism barahna hai ab libās kahāñ
na rang-e-'mīr' na 'ġhālib' kī fikr kā andāz
mirī ġhazal meñ kisī kā bhī in.ikās kahāñ
mileñge aap ko 'mutrib' adab-navāz bahut
magar milegī nigāh-e-suḳhan-shanās kahāñ
teri nigah mein ho husn-e-iltimas kahan
bujhegi hae mere dil ki ab ye pyas kahan
yahan to band dariche hain aur kuchh bhi nahin
mujhe le aai hai tu ai nigah-e-yas kahan
KHulus-o-mehr-o-wafa nazr-e-tajrabaat hue
tamam jism barahna hai ab libas kahan
na rang-e-'mir' na 'ghaalib' ki fikr ka andaz
meri ghazal mein kisi ka bhi inikas kahan
milenge aap ko 'mutrib' adab-nawaz bahut
magar milegi nigah-e-suKHan-shanas kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.