teri nigah se dil mein utar gaya hun main
tirī nigāh se dil meñ utar gayā huuñ maiñ
baḌe vasūq se ye baat kah rahā huuñ maiñ
tulū'-e-sub.h kā manzar kabhī nahīñ dekhā
tamām raat diye kī tarah jalā huuñ maiñ
mujassamoñ kī shu'ā'eñ bikherne vaale
tire ḳhulūs kā maqsad samajh rahā huuñ maiñ
har ek moḌ pe patthar liye khaḌe haiñ log
tumhāre 'ishq meñ badnām ho gayā huuñ maiñ
tavāf-e-kūcha-e-jānāñ kī aarzū kar ke
nigāh-e-gardish-e-daurāñ meñ aa gayā huuñ maiñ
na mujh se pūchhiye kis dil se aaj majbūran
ik ajnabī kī tarah aap se milā huuñ maiñ
mirī taraf se taġhāful barat ke logoñ ko
kisī ne itnā hañsāyā ki ro paḌā huuñ maiñ
teri nigah se dil mein utar gaya hun main
baDe wasuq se ye baat kah raha hun main
tulu'-e-subh ka manzar kabhi nahin dekha
tamam raat diye ki tarah jala hun main
mujassamon ki shu'a'en bikherne wale
tere KHulus ka maqsad samajh raha hun main
har ek moD pe patthar liye khaDe hain log
tumhaare 'ishq mein badnam ho gaya hun main
tawaf-e-kucha-e-jaanan ki aarzu kar ke
nigah-e-gardish-e-dauran mein aa gaya hun main
na mujh se puchhiye kis dil se aaj majburan
ek ajnabi ki tarah aap se mila hun main
meri taraf se taghaful barat ke logon ko
kisi ne itna hansaya ki ro paDa hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.