Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri nigah se jab bhi meri nigah mili

Shamsii Meenai

teri nigah se jab bhi meri nigah mili

Shamsii Meenai

MORE BYShamsii Meenai

    tirī nigāh se jab bhī mirī nigāh milī

    mujhe to gardish-e-ayyām se panāh milī

    hameñ to tere tabassum pe jaan denī hai

    kalī kalī ko jo dekhā terī gavāh milī

    rah-e-vafā meñ tire ġham baḳhshisheñ kyā ḳhuub

    diloñ ko soz milā hai laboñ ko aah milī

    mujhe to sirf ye kahnā hai apne dil ke liye

    bhaTakne vaalī vafā ko qayām-gāh milī

    na jaane jaa.e kahāñ le ke dil betābi

    qadam qadam pe mujhe yuuñ to jalva-gāh milī

    ajiib haal meñ rahte haiñ fan ke maare bhī

    zabāñ amiir milī zindagī tabāh milī

    teri nigah se jab bhi meri nigah mili

    mujhe to gardish-e-ayyam se panah mili

    hamein to tere tabassum pe jaan deni hai

    kali kali ko jo dekha teri gawah mili

    rah-e-wafa mein tere gham ki baKHshishen kya KHub

    dilon ko soz mila hai labon ko aah mili

    mujhe to sirf ye kahna hai apne dil ke liye

    bhaTakne wali wafa ko qayam-gah mili

    na jaane jae kahan le ke dil ki betabi

    qadam qadam pe mujhe yun to jalwa-gah mili

    ajib haal mein rahte hain fan ke mare bhi

    zaban amir mili zindagi tabah mili

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now