teri qurbat mein jo rahi hogi
tirī qurbat meñ jo rahī hogī
raat maġhrūr ho rahī hogī
kab se ḳhushbū nazar nahīñ aa.ī
us ke pahlū meñ so rahī hogī
yaad kar ke hamārī furqat ko
apnā āñchal bhigo rahī hogī
ham ne sahrā ko chhān maarā hai
pyaas paanī meñ so rahī hogī
jā ke shab ko zarā jagā laao
us kī zulfoñ meñ so rahī hogī
teri qurbat mein jo rahi hogi
raat maghrur ho rahi hogi
kab se KHushbu nazar nahin aai
us ke pahlu mein so rahi hogi
yaad kar ke hamari furqat ko
apna aanchal bhigo rahi hogi
hum ne sahra ko chhan mara hai
pyas pani mein so rahi hogi
ja ke shab ko zara jaga lao
us ki zulfon mein so rahi hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.