teri rah dekhta main but-e-bewafa kahan tak
tirī raah dekhtā maiñ but-e-bevafā kahāñ tak
tirā intizār maiñ ne kiyā sub.h kī azaañ tak
vahī rāhzan jinhoñ ne mire kārvāñ ko luuTā
ba-ḳhudā unhī meñ shāmil hai amīr-e-kārvāñ tak
na use agar bujhāyā to chaman ko phūñk degī
yahī aag jo abhī hai mirī shāḳh-e-āshiyāñ tak
kisī koh par guzartī to vo reza reza hotā
jo mire chaman pe guzrī hai bahār se ḳhizāñ tak
tirā dil bhī jāntā hai koī rabt hai yaqīnan
tire qahqahoñ se le kar mire nāla-o-fuġhāñ tak
mujhe saañp ban ke Dasne vahāñ shāḳh shāḳh lapkī
maiñ gayā jo fasl-e-gul meñ kabhī sehn-e-gulsitāñ tak
mire ishq kā fasāna mire pyaar kī kahānī
vo hai ab zabāñ zabāñ par jo kabhī thī rāz-dāñ tak
ye mirā vajūd 'salmāñ' hai nishāñ kisī ke ġham kā
maiñ kisī kā ho gayā jab na rahā mirā nishāñ tak
teri rah dekhta main but-e-bewafa kahan tak
tera intizar main ne kiya subh ki azan tak
wahi rahzan jinhon ne mere karwan ko luTa
ba-KHuda unhi mein shamil hai amir-e-karwan tak
na use agar bujhaya to chaman ko phunk degi
yahi aag jo abhi hai meri shaKH-e-ashiyan tak
kisi koh par guzarti to wo reza reza hota
jo mere chaman pe guzri hai bahaar se KHizan tak
tera dil bhi jaanta hai koi rabt hai yaqinan
tere qahqahon se le kar mere nala-o-fughan tak
mujhe sanp ban ke Dasne wahan shaKH shaKH lapki
main gaya jo fasl-e-gul mein kabhi sehn-e-gulsitan tak
mere ishq ka fasana mere pyar ki kahani
wo hai ab zaban zaban par jo kabhi thi raaz-dan tak
ye mera wajud 'salman' hai nishan kisi ke gham ka
main kisi ka ho gaya jab na raha mera nishan tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.